Aapne dil ka haal batana chod diya, humne bhi gehrai mein jaana chod diya. HOLI se pehle hi aapne nahana chod diya?
--------------------------------------------------------------------- Dil ne ek baar aur humaara kehna maana hai, Is holi pe phir useh rangne jaana hai.
Har saal khareeden hain rang, kari hai tayaari, Is baar to khelenaa humaare saath, dekhnaa raah humaari.
Shahar mein sabse pooch rahe hain , rang-e-mohabbat kahaan milega Raat ko khuda ne bataaya ki abhi aur imtehaanon se guzarnaa parega
Neela, hara , peela , gulaabi yeh sab to ek bahaana hai, Holi ka ho din ya kuch aur hume to tumse milne aana hai
Is Holi pe useh rangne jaana hai, Is Holi pe useh rangne jaana hai
|
| You must Sign In To post reply |